Pages

Monday, November 21, 2016

Deeni Malumaat Part - 5

01) Hijrat (matlab): Watan ko Deen ki khaatir chhodna.
02) Hadiya (matlab): To'fah.
03) Nisbat (matlab): Waastah, Ta'alluq.
04) Suffah (matlab): Masjid-e-Nabawi ke andar aik chabootrah hai jis par Sahaaba baithte the.
05) Shaahid (matlab): Gawaah.
06) Shaaq (matlab): Mushkil, Naa-gawaar.
07) Saabiqah (matlab): Guzree huwi.
08) Sabeel (matlab): Raastah, Tareeqah, Soorat, Tadbeer.
09) Zabt (matlab): Hifaazat, Yaad rakhna, Qaaboo, Qurq.
10) Zu'af (matlab): Kamzori.

Share on: 

Deeni Malumaat Part - 4

01) Aab Paashi (matlab): Seinchaai, Paani Sairaab karna.
02) Aabdaar (matlab): Chamkeela
03) Ba-Izaafah (matlab): Ziyaadatee ke saath
04) Baalaa (matlab): Oopar
05) Sarf (matlab): Kharch.
06) Silah (matlab): Badlaa, In'aam.
07) Taweel (matlab): Lambaa.
08) Ta'aam (matlab): Khaana.
09) Zalaalat (matlab): Gumraahi.
10) Zaamin (matlab): Zimmedaar, Woh shakhs jo kisi ki zamaanat lay.

Share on: 

Deeni Malumaat Part - 3

01) Aabaa wa Ajdaad: Baap Daadaa, Mauris
02) Bil-Ittefaaq (matlab): Ittefaaq ke saath
03) Bil-Jabr (matlab): Zabardasti se
04) Haibat (matlab): Darr, Ru'ab
05) Haiyyat (matlab): Shakal wa Soorat, Banaawat
06) Rashk (matlab): Yeh aarzoo ke jo cheezein doosre ke paas hain woh mujhe mil jaaye.
07) Yaas wa Hiraas (matlab): Naa-ummeed wa pareishaani
08) Yaksui: Fursat wa Itmenaan
09) Yaksoo: Aik taraf
10) Yasrib: Madeenah-e-Munawwarah kaa puraanaa naam

Share on: 

Saturday, September 24, 2016

Deeni Malumaat Part - 2

1) Amar (matlab): Hamesha rahne waala.
2) Amr (matlab): Hukum.
3) Ambaar (matlab): Dheir.
4) Dalaail (Matlab): Saboot, Isbaat.
5) Inteqaam (matlab): Badlaa.
6) Imtiyaaz (matlab): Farq.
7) Nifaaq (Matlab): Bigaad, Zaahir mein dosti aur andar mein dushmani, Zaahir mein Iman aur baatin mein kufr.
8) Sahoo (Matlab): Bhool-chook.
9) Salb (Matlab): Chheen-naa.
10) Saltanat (Matlab): Badeshaahat, Hukumat.

Share on: 

Deeni Malumaat Part - 1

1) Jafaa (Matlab): Zulm.
2) Jahaalat (Matlab): Be-Ilmi.
3) Jaleel-ul-Qadr (Matlab): Bahut Izzat waala, Badee shaan waala.
4) Jabran (Matlab): Zabardasti.
5) Tadabbur (Matlab): Ghaur karna, Dhoondna.
6) Tarteel (Matlab): Quran-e-Kareem ke huroof ko theek se adaa karna aur itminaan se thehar thehar kar padhna.
7) Tarjeeh (Matlab): Fazeelat.
8) Ijtenaab (Matlab): Parheiz karna.
9) Ijtimaa'ee (Matlab): Sab ki.
10) Juz (Matlab): Tukdaa, Hissah.
Share on: